The Mirror

kabhi dil ke jhrokhe se jhaka toh ek sheesha nazar aaya...
kuch saaf sa tha toh kuch tha ranga hua...
kuch the seedha sapat toh kahin se khurdura teekha sa..
phir ek ajeeb se ehsaas mujhe uske kareeeb laya
dil ke jhokhe se mujhe ek sheesha nazaar aya....

kahin thae mere bachpan ke woh nishaan
woh pathreeli zameen aur woh biyabaan reagistaaan
udthi thi jsimien dhool ban kar andhi toofaan
bachpan guzara tha meine ismien lekin aalishaan
bachpan ke din bhi kya din thae..jab kahin hoti thi loooa chippi.
toh kahin tha ludo ka samaan..aur kahin tha woh cricket ka kahli maidaan

chalte chalte eshsaas kuch yun bhi hua..
thodae bade huye toh..ek ehsaas naya sa jaaga
nayi kooppal thi fooothi..aur kahin ek naya sama tha jaaga
bhaagte rahe un rasston par hum ban kar aandhi toofan
thoda sa bachpan baaki tha shayad woh bhi saamet legaya
jawani ka ek shaitaan...ab jo rang aya tha woh tha thoda kaala sa
rang jis se sab darte thae..ki kahin na kar de humara yeh imaan kharab
lekin jeevan ka deepak tab bhi jalta raha aur mein un andeeron se bhi
ek haare sippaaahi ki bhaati bus ladtha raha..na jeene ka hausala khoya
aur na hi marne ki aarzoo...lekin pata nahi phir bhi kyun nahi nikale
is shaheer ke pinjare mein phase huye yeh meri aatma ke pran

woh bhi thoda halka hi tha shayad ki woh bhi jaldi utar gaya aur us rang ko
chodh kar mein aur aage badh gaya ab jo rang tha woh tha sunehri..
kabhi chmaktha  jo tha us gamriyon ki bhari doopahri...
kabhi lliya tha haathon mein bus kuch kaapte huye ek haath..
dil mein thi bahut se umaagein aur aakhon mein thae kayi naye jazabaat
shayad tha yehi pehla pyaar sapne dekha karta tha dil jiske kai kai baar
Lekin yeh toh tha sapna isko toh tootna na hi tha ...haasti thi hi kya humari toh
usko toh roothna na hi tha..Kitaabon ka haath abhi chootha na tha
hasraton ka daaman abhi humse rootha na tha..
phir se hum lag gaye karne umeedon ka kaarobaar hasraate liye dil mien
ki pana hai aasmaan chodh diya humne woh sunrehi rang ka sansaar

yun badh chale hum aagele rang mein jaise shaheer chodh deti ho aatma ek shan mein
naya rang tha kuch hara aur kuch naarangi sa...dekhne mein lagtha tha kuch aat rangi sa..
thi jsimein doston ki hasi thithooli woh college ki seedhiyan aur woh haseeno ki tooli..
mast thi khub aur kuch pyaar ke rang bhi thae..kuch thae apne se aur kuch bus sapno se..
udh gaya yeh dil ka panchi phir ek baar kya phir se ho gaya thae mein pyaar..
nahi nahi yeh gunaah humien phir se nahi karna kyun tadpe yeh dil aisi aaah kyun bharna
par yeh dil kambhaqt manta hi nahi...dard -e- mohabbat ko pehchaanta hi nahi...
huyi aakhen nam aur yeh paigaam bhi aya chahtha tha dil jisae ek khaat uske naam bhi aya
shayad intezaar the usae usi khat ka ki chodh gaya woh humien phir bemuravaat sa...
acha hua jo zayada dil na lagaya thodi si chooth se dil jaldi se ubhar aya..
ab narangi rang ka tha asar tha shayad...dil ki kum dimaag ki zayada suni humne aur
ek raah bhi theek hi si chun li humien..humein kya pata tha ki rang-e-mohabbat phir se laut aayega
aur is baar itni shiddaat se humein phir kisi se pyaar ho jayega..
ehsaas waahn bhi tha barabar ka bus shayad  samay hi kharab tha
achanak hi chodh kar chala gaya jo kabhi dil ke liye ek dum khas tha
chooth thi gehri ubharne mein humein waqt bhi laga
shukr tha khuda ka ki...kuch acha dsoton ki sohabaton ka bhi humpar asar
ubhaar liya humne unki madad se apane aap ko aur phir pehen liya bus dard-enafrat ek naqaab ko
rang yeh bhi yun utar gaya aur is rang ko chodh kar mein phir se  aaage badh gaya..

rang tha agla kuch hara neela aur laal....mohabaat bhi thi ismien aur dard bhi thae hazaar......................................................
abhi is rang ko hi je raha hun mein toh aage kya baat laun............................................

abhi bhi dil yeh maun hai aur mein har rang ke sheeshe ko apne dil se laagun........................................




Comments

Popular posts from this blog

Alfaaz ya yun kahen lafz..

Friends