Alfaaz ya yun kahen lafz..

Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye,
Kuch taqrar ke lafz ho ,
Kuch iqrar ke ,
Kuch bolte se lafz ho,
Kuch khamosh se lafz,
Kyun na yeh kathin kaam aaj saadha jaye,
Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye…

Kuch lafz ho dosti ke ,
Kuch lafz kahe ,
Kuch lafz ho ankahe ,
Inhe Samay ki mala mein sajaya jaye..
Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye.

Comments

Popular posts from this blog

Friends