Alfaaz ya yun kahen lafz..
Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye, Kuch taqrar ke lafz ho , Kuch iqrar ke , Kuch bolte se lafz ho, Kuch khamosh se lafz, Kyun na yeh kathin kaam aaj saadha jaye, Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye… Kuch lafz ho dosti ke , Kuch lafz kahe , Kuch lafz ho ankahe , Inhe Samay ki mala mein sajaya jaye.. Kyun na aapko lafzon mein bandha jaye.