Kuch Panne

Khamosh si rahon se bhi kabhi aawaaz aati hai ...

Dil ki tanhaiyon se bhi aawaaz aati hai...

Dard ka afsana bayan hota hai nighaaon se

Nigaahen yaar ki bhi awaaz kabhi aati hai

Chua tha jisne kabhi un nigaahoon se

woh bhi aaj kahin khamoosh nazar aati hai

Khamosh si rahon se bhi kabhi aawaaz aati hai

Chodh aaya hun un gaaliyon  un chaubaaron ko

lekin wahan ke paarindon ki parwaaz abhi baki hai

Khamosh si rahon se bhi kabhi awaaz aati hai...




Comments

Popular posts from this blog

Alfaaz ya yun kahen lafz..

Friends